Punctuation


Punctuation English grammar ka important hissa hai kyunki yeh sentence ka meaning clear banata hai aur pauses aur emotions dikhata hai. Har punctuation mark ka apna ek purpose hota hai. Yahaan hum basic aur intermediate punctuation ko detail mein discuss karenge:

DOWNLOAD PDF 👇

Basic Punctuation

1. Period (.)

Period sentence ke end mein use hota hai jab hum koi statement complete kar rahe hain.

Example: 

  • She is going to school.
Yahaan period (.) sentence ko complete dikhata hai.


2. Comma (,)

Comma chhote pauses dikhata hai, aur items ko list mein alag karne ke liye use hota hai.

Example: 

  • I bought apples, bananas, and oranges.
Yahaan comma (,) alag-alag items ko dikhata hai.


3. Question Mark (?)

Yeh questions ya sawal ke end mein aata hai.

Example: 

  • What is your name?
Yahaan question mark (?) dikhata hai ki yeh ek sawal hai.


4. Exclamation Point (!)

Yeh strong emotions ya surprise dikhata hai.

Example: 

  • Wow! That's amazing!
Yahaan exclamation point (!) excitement aur amazement dikhata hai.


Intermediate Punctuation

1. Apostrophe (') 

Yeh possession aur contractions ke liye use hota hai.

Possession: 

  • Sara's book is on the table.
  • Sara ki kitaab table par hai.
Yahaan apostrophe (') dikhata hai ki kitaab Sara ki hai (possession - kisi ka kuch hona).


Contraction (short form): 

  • Don't go there.
  • Wahan mat jao. 
Yahaan "don’t" mein apostrophe "do not" ko short form mein likhne mein madad karta hai.


2. Colon (:)

Yeh kisi list ko introduce karne ke liye ya important information batane ke liye use hota hai.

Example: 

  • You need to bring: pens, books, and paper.
  • Tumhe laana zaruri he: pens, books, and paper.
Yahaan colon (:) list ko introduce karta hai.


3. Semicolon (;)

Semicolon do independent sentences ko jodne mein madad karta hai jab unka meaning closely related ho.

Example: 

  • I wanted to go for a walk; however, it started raining.
  • I walk ke liye jana chahta tha; lekin tabhi barish shuru ho gayi.
Yahaan semicolon (;) do connected ideas ko jodta hai.


4. Quotation Marks (“ ”)

Quotation marks kisi ke exact words ya dialogues ko show karne ke liye use hote hain.

Example: 

  • She said, I’ll be there soon. 
  • Usne kaha, "mein jaldi wahan par rahun"
Yahaan quotation marks (") batate hain ki yeh exact words hain jo usne kahe.

Titles: Books, articles, aur movies ke titles ko highlight karne ke liye bhi use ho sakta hai, jaise “The Great Gatsby.”

Note: Punctuation se sentence ka structure aur meaning clear ho jata hai, aur yeh readers ke liye sentences ko samajhna easy banata hai.


- - For More Details Click 👉 DOWNLOAD PDF 


KEEP LEARNING AND SHARING 🙏❤️🌹



Post a Comment

Previous Post Next Post